hamesha dair ker deta hoon
Page 1 of 1 • Share
hamesha dair ker deta hoon
hamesha dair ker deta hoon
main her kaam kerne main
zaroori baat kehni ho,
koi waada nibhana ho
usse awaz deni ho,
usse wapis bulaana ho
hamesha dair ker deta hoon
main har kaam karnay mein
madad kerni ho usski,
yaar ki dharas bandhana ho
bohut daireena raaston per
kissi se milney jana ho
hamesha dair ker deta hoon
main har kaam karnay mein
badaltey mausmon ki sair main
dil ko lagana ho
kissi ko yaad rakhna ho
kissi ko bhool jana ho
hamesha dair ker detta hoon
main har kaam karnay mein
kissi ko maut se pehle
kissi ghum se bachana ho
haqeeqat aur thi kuch,
uss ko jaa ker yeh batana ho
hamesha dair ker deta hoon
main har kaam kerne main
main her kaam kerne main
zaroori baat kehni ho,
koi waada nibhana ho
usse awaz deni ho,
usse wapis bulaana ho
hamesha dair ker deta hoon
main har kaam karnay mein
madad kerni ho usski,
yaar ki dharas bandhana ho
bohut daireena raaston per
kissi se milney jana ho
hamesha dair ker deta hoon
main har kaam karnay mein
badaltey mausmon ki sair main
dil ko lagana ho
kissi ko yaad rakhna ho
kissi ko bhool jana ho
hamesha dair ker detta hoon
main har kaam karnay mein
kissi ko maut se pehle
kissi ghum se bachana ho
haqeeqat aur thi kuch,
uss ko jaa ker yeh batana ho
hamesha dair ker deta hoon
main har kaam kerne main
Abir- Monstars
-
Posts : 264
Join date : 2011-02-09
Age : 36
Re: hamesha dair ker deta hoon
Fuzool hai un sey yeh tamanna key merey gham ki dawa karein gay
Tabahi-e-dil pey jo tuley hon woh dil ki ta’ameer kiya karein ge
Qadeem aik rasm-e-dosti hai magr hai ab bhi wohi ta’alluq
Sitm sahey hain, sitm sahein gee, wafa key badley jafa karein ge
Na zindagi ko sukoon mila hai, na zindagi ney sukoon diya hai
Kabhi jo puhanchey us aastaan tak tu zindagi ka gila karein ge
Shareek-e-bazm-e-hayaat tum they tu aarzu’oon mein roshni thee
Tumhari qurbat sey duur reh kar sukoon mila tu kiya karein ge
Kisi ko maaloom tak na hoga key hum ko thi aap sey muhabbat
Kisi ko mahsoos tak na hoga kuch is tarah hum wafa karein ge
Mata-e-qulb-o-nazr luta kar uthaye mahroomiyun ke sadmay
Gham-e-zamana teri hikaayat baray mazay sey kaha karein gay
Khushi ki halki si aik kiran bhi dil-o-nazr mein nahi hai zakir
Udaasiyun per hi aasra hai kiya bhi shikwa tu kiya karein ge

Page 1 of 1
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum
|
|
Today at 6:26 am by ali001
» Used Car Auctions USA
Sat May 18, 2024 10:16 pm by ali001
» Amuse - Become Smarter
Wed May 15, 2024 10:50 am by ali001
» Fort Lock
Sat May 04, 2024 11:49 am by ali001
» house disrepair claims
Thu May 02, 2024 4:29 pm by Ibad Khan Buledi
» Bounce n Bang: Physics puzzler
Thu May 02, 2024 11:39 am by ali001
» AIChatSY - AIChatbot Assistant
Wed May 01, 2024 10:48 am by ali001
» Storybook Magic App
Tue Apr 30, 2024 7:06 pm by ali001
» Flower Book Match3 Puzzle Game
Tue Apr 30, 2024 12:17 pm by ali001