Virtual Position Forum
Please register to watch content in detail
Thanks
Admin virtual position


Join the forum, it's quick and easy

Virtual Position Forum
Please register to watch content in detail
Thanks
Admin virtual position
Virtual Position Forum
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Wafa mein ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai

View previous topic View next topic Go down

GMT + 3 Hours Wafa mein ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai

Post by saleha Sat Dec 08, 2012 10:40 pm

Wafa mein ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
Woh sach kahay na kahay aitbaar karna hai
.
.
Yeh tum ko jaagtay rehnay ka shoq kab se hua?
Mujhe tau khair tera intizaar karna hai!!
.
.
Hawa ki zadd mein jalanay hain aansu-on k charagh
Kabhi yeh jashan sar-e-raah guzaar karna hai
.
.
Woh muskura k naye was-wason mein daal gaya
Khayyal tha yeh k ussay sharamsaar karna hai
.
.
Misaal-E-Shaakh-E-Barehna khizaan ki rut mein
Khud apnay jism ko barg-o-baar karna hai
.
.
Tere firaq mein din kiss tarah kaatay hain
K shughal-e-shab ko sitaray shumaar karna hai
.
.
Chalo yeh ashk hi moti samajh k baich aayein
Kissi tarah tau humain rozgaar karna hai
.
.
Kabhi tau dil mein chhupay zakhm bhi numaayaan hon
Quba samajh k badan taar taar karna hai
.
.
Khuda khabar yeh koi zid hai k shauq hai MOHSIN
Khud apni jaan k dushman se piyar karna hai....!!!

saleha
saleha
Monstars
Monstars

Pisces Dragon
Posts : 469
Join date : 2012-01-28
Age : 36
Location : ...
Blah

Back to top Go down

View previous topic View next topic Back to top

- Similar topics

Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum