Virtual Position Forum
Please register to watch content in detail
Thanks
Admin virtual position


Join the forum, it's quick and easy

Virtual Position Forum
Please register to watch content in detail
Thanks
Admin virtual position
Virtual Position Forum
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Benefits Ya Mughni Wazifa Ya Mughni Meaning Ya Mughniu Amal

View previous topic View next topic Go down

GMT + 8 Hours Benefits Ya Mughni Wazifa Ya Mughni Meaning Ya Mughniu Amal

Post by Simba Sun Oct 20, 2013 4:00 pm

Ya Mughni meaning in urdu - Aay Bay Parwa Karne Wale:
Allah Mughni hai kyoun ke woh apne bandon ko apne lutf-o-karam ki bina par Ghani kar deta hai. Unhain insanon ki mohtaji se azad kar deta hai aur apne fazal aur karam se benayaz kar deta hai. Ghana mein 3 amor yani ilm mein ghana, rizq mein ghana aur iqtidar mein ghana shamil hain. Is liye Allah Ta'ala apni is sifat ki wajah se jisay chahta hai aur jis cheez mein chahta hai Ghani kar deta hai kyoun ke Allah ne ahl-e-imaan se Quran Majeed mein wada kiya hai ke ahl-e-iman agar ab ghareeb hain, bay saman hain tou Allah un ko apne fazal se Ghani kar de ga. Is se maloom hua ke Allah ne apne waday ki bana kar unhain Ghani kar ke dikhaya ke Ghani karna sirf Allah ke ikhtiyar mein hai kyoun ke Khuda bazat-e-khud Mughni yani Ghani karne wala hai is liye insan ko chahiye ke jis shobay mein Ghani banne ki zaroorat dar paish ho usay Mughni keh kar pukare. Ya Mughni ka wird karne wale ko Khuda Ghani kar de ga. Ya Mughni jamali hai is ke adad 1100 hain.

Ya Mughni reciting benefits:

Ameer Banne Ka Zabardast Amal: Ya Mughni ka amal Ghani banne ke liye bohat taqatwar hai lihaza jo ameer hona chahta ho woh roz 7000 martaba 3 years tak parhta rahe. Aur amal ke shuru mein Astaghfar 11 times parh liya kare in 3 years mein isay parhne wale ko bepanah maal aur dolat milay gi aur Ghani ho jaye ga.
[You must be registered and logged in to see this image.]




Logon Ki Nazar Mein Izzat Hasil Karna: Ya Mughniu ka wird parhne wale ko muazaz aur mukaram kar deta hai lihaza Ya Mughni 1100 times rozana recite karne ka mamool ho jaye tou Ya Mughni ka taweez apne paas rakhe tou khalqat mein azeez ho jaye ga. Daulat bepanah aye gi ke har koi maldari ki wajah se izzat kare ga aur Ya Mughni wazifa marte dam tak parhta rahe.

Zaroorat Ke Mutabiq Rizq Milay: Har sharif admi ki khawahish hoti hai ke usay zaroorat ke mutabiq asani se rizq mil jaye. Is ke liye 10 friday tak subah ki namaz yani fajar ke baad 7000 times Ya Mughni recite karain aur Allah Pak se asani se rizq milne ki dua karain In Sha Allah usay Khuda apne khazane se rozi dene lage ga. Aur us ke rizq mein bohat zayada farakhi ho jaye gi aur woh hamesha ke liye khalqat yani dunya ki mohtaji se mehfooz rahe ga.

Larki Ki Shadi Ka Zariya: Mariage Problems Solutions: Ya Mughni For Marriage: Jis girl ki shadi sirf isi wajah se nahin ho rahi ke us ke ya us ke maa baap ke paas us ki shadi ke liye paisa nahin hai tou shadi ka asbab banay aur log ghurbat ki wajah se rishta na karte hon tou usay chahiye ke Ya Mughniu 11000 martaba 11 dinon tak recite kar liya kare us ki ghaibi madad ho gi Khuda us ki beti ki shadi ka zariya bana de ga. Is ke ilawa aisi love marriage jo sirf paisa na hone ki wajah se ruki ho us ke liye bhi ye bohat kamyab amal hai.

Murad Puri Hone Ka Amal: To Fullfil Wish: Jo Ya Mughni ko morning aur evening mein parhna kare ga us ki har jaez wish puri ho gi. Isay parhne se ghana hasil hota hai. Kashf khulta hai. Karamatain hoti hain bashartay ke kisi Allah ke bande ka hath peechay ho.

[You must be registered and logged in to see this image.]

Naqsh Ya Mughni Zikir Aur Complete Ya Mughni Amal: Ya Mughniu ka amil bannay ke liye 12500 times daily parhna parhta hai aur woh bhi chalis din tak phir rooz 100 baar is liye ke amal rahe. Agar isay Ya Mughni Allahu parhain gey tou zayada faida aur asar ho ga.
Simba
Simba
Monstars
Monstars

Cancer Buffalo
Posts : 658
Join date : 2013-09-06
Age : 38
Location : pk
Happy

Back to top Go down

GMT + 8 Hours Re: Benefits Ya Mughni Wazifa Ya Mughni Meaning Ya Mughniu Amal

Post by Bao Wed Jun 28, 2017 8:26 am

[You must be registered and logged in to see this image.]
Bao
Bao
Monstars
Monstars

Virgo Rat
Posts : 429
Join date : 2016-10-29
Age : 27
Location : Jampur
Coldturkey

Back to top Go down

View previous topic View next topic Back to top

- Similar topics

Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum